Maa Bharti

हैं दोनों ही संतान मेरे, एक वे भी हैं एक तुम भी हो,
हो दोनों ही अरमान मेरे,एक वे भी हैं एक तुम भी हो।
एक खून की होली खेल गए,
जंजीर गुलामी तोड़ गए,
माँ के आंसू के बदले में,
हंसकर शूली पर झूल गए,
एक रोज रुलाया करते हैं,
अपनों पर हमला करते हैं,
इस माँ के टुकड़े करने को,
हर पल वे ताक में रहते हैं,
मतवाला एक,हत्यार बना,एक वे भी हैं एक तुम भी हो,
हो दोनों ही अरमान मेरे,एक वे भी हैं एक तुम भी हो।
कैसे उस पल को भूल गया,
बलिदान भाई का भूल गया,
दुश्मन से हाथ मिलाकर क्यों,
तू प्रेम की भाषा भूल गया,
एक शान से सीना तान खड़ा,
सरहद की शान बढ़ाने को,
एक हाथ में पत्थर तान खड़ा,
भारत की मान घटाने को,
हैं दोनों आँख के तारे पर,एक वे भी हैं एक तुम भी हो,
हो दोनों ही अरमान मेरे,एक वे भी हैं एक तुम भी हो।
एक मुझ पर जान लुटाता है,
हर दर्द में अश्क बहाता है,
कोई दाग लगे न दामन में,
गोली दुश्मन की खाता है,
तुम पत्थरबाजी करते हो,
आँचल को जख्मी करते हो,
दुर्दिन में जो था साथ उसी,
भाई को जख्मी करते हो,
क्या दर्द दिया संतान मेरे,एक वे भी हैं एक तुम भी हो,
हो दोनों ही अरमान मेरे,एक वे भी हैं एक तुम भी हो।
एक धरा पे दोनों जन्म लिए,
संग माँ का अमृत पान किया,
एक मुझे बचाने निकल पड़ा,
एक मुझे मिटा उल्लास किया,
किस लोभ में पागल तुम जानो,
है किसकी साजिश तुम जानो,
जिस धरा पर तुमने जन्म लिया,
क्या कीमत उसकी तुम जानो,
एक हाथ में झंडा नफरत का,
दूजे से पत्थरबाजी है,
क्यों मूक बना ये लोकतंत्र,
कैसी ये नारेबाजी है,
जिसके दिल माँ का मान नहीं,
सुन लो मेरा संतान नहीं,
पाषाण भी पिघला करते हैं,
मानव की घोर तपस्या से,
जिस हृदय देश से प्रेम नहीं,
इंसान तो क्या पाषाण नहीं,
अब खुद सोचो तुम कैसे हो,एक वे भी हैं एक तुम भी हो,
हो दोनों ही अरमान मेरे,एक वे भी हैं एक तुम भी हो।

!!! मधुसूदन !!!
Maa Bharti

Hai dono hi santaan mere,ek wo bhi hain ek tum bhi ho,

Ho dono hi armaan mere, ek wo bhi hain ek tum bhi ho.

Ek khoon ki holi khel gaye,

Janjeer gulaami tod gaye,

Maa ke aanshu ke badle me,

Haskar suli par jhul gaye,

Ek roj rulaaya karte hain,

Apno par hamla karte hain,

Es maa ke tukde karne ko ,

har pal we baaten karte hain,

Matwaala, ek hatyaar banaa,ek wo bhi hain ek tum bhi ho.


Kaise us pal ko bhul gayaa,

Balidaan bhaayee ka bhul gayaa,

Dushman se haath milaakar kyun,

Tu prem ka bhaasaa bhul gayaa,

Ek shaan se sinaa taan khada,

Sarhad ki shaan badhaane ko,

Ek haath me patthar taan khadaa,

Bhaarat ki maan ghataane ko,

Hain dono aankh ke taare par, ek we bhi hai ek tum bhi hai.


Ek mujhpar jaan chhidakta hai,

Har dard me aahen bharta hai

Koyee daag na daaman me karde,

Dushman ki goli sahtaa hai,

Ek pattharbaaji karta hai,

Aanchal ko jakhmi karta hai,

Durdin men jo tha saath usi,

Bhaayee ko jakhmi karta hai,

Kya dard diya santaan mere,ek wo bhi hai ek tum bhi ho,

Ek dharaa pe dono janm liye,

Sang maa se amrit paan kiya,

Ek mujhe bachaane nikal padaa,

Ek mujhe mitaane nikal pada,

Ye kaiski saajis o jaane,

Kis lobh me paagal o jaane,

Ek haath me jhanda nafrat ka,

Duje se pattharbaaji hai,

Kyun muk banaa ab loktantra,

Ye kaisi naarebaaji hai,

Jiske dil maa ka maan nahin,

Sun lo mera santaan nahi,

Paashaan bhi pighlaa karte hain,

Maanav ki ghor tapashya se,

Jis hriday me desh ka prem nahin,

Inshaan to kyaa paashaan nahi,

Ab khud socho tum kaise ho, ek we bhi hai ek tum bhi ho.

ek we bhi hai ek tum bhi ho.

!!! Madhusudan !!!

39 Comments

Your Feedback