Talaaq ek Abhishaap
सादगी से भरी, खुबशुरत परी,
तेरी गुलशन की हूँ, मैं भी एक कली,
देख मौला ये क्या हो गया है,
मेरा जीवन सजा हो गया है,
हाय जीने को अब क्या बचा है |
कितना मिन्नत किया, अब्बा ने हाँ किया,
फिर निकाह हो गयी, मुझको सौहर मिला,
कितनी खुशियां थी कितने हसीं ख्वाब थे,
साथ मिलके सजाये नया बाग़ थे,
खुद पे अल्लाह की रहमत समझता था ओ,
उसकी जन्नत थी मैं, चाँद कहता था ओ,
चाँद में दाग अब हो गया है,
रब्बा जीवन सजा हो गया है,
हाय जीने को अब क्या बचा है |
उसकी महफ़िल सजी, कब्र मेरी बनी,
एक सुहागन अचानक अभागन बनी,
प्यार का ओ समंदर कहाँ खो गया,
उसकी आँखों में कैसे जहर भर गया,
गोद में एक निशानी सिसकती रही,
अब्बू-अब्बू तड़पकर ओ कहती रही,
हाय अल्लाह बता तू कहाँ सो गया,
तेरी बेटी का दुश्मन जहां हो गया,
तीन तलाकों को किसने बनाया बता,
खेल बेटी को किसने बनाया बता,
अब ना सहना बहुत सह लिया है,
मौला जीवन सजा हो गया है,
हाय जीने को अब क्या बचा है |
!!! मधुसूदन !!!
Talaaq ek Abhishaap
Saadagi se bhari, khubshurat pari,
Teri gulshan ki hun, main bhi ek pari,
Dekh maula ye kyaa ho gayaa hai,
Mera jivan sajaa ho gayaa hai,
Hay jine ko ab kyaa bachaa hai.
Kitnaa minnat kiyaa, abba ne haan kiyaa,
Phir nikaah ho gayee, mujhko sauhar milaa,
Kitni khushiyaan thi kitne hasin khwaab they,
Saath milke sajaaye nayaa baag they,
Khud pe allaah ki rahmat samajhtaa thaa o,
Uski jannat thi main, chaand kahtaa thaa o,
Chaand men daag ab ho gayaa hai,
Rabba jiwan sajaa ho gayaa hai,
Haay jine ko ab kyaa bachaa hai.
Uski mahfil saji, kabra meri bani,
Ek suhaagan achaanak abhaagan bani,
Pyaar kaa o samandar kahaan kho gayaa,
Uski aankhon men kaise jahar bhar gaya,
God men ek nishaani sisakti rahi,
Abbu-abbu tadapkar ke kahti rahi,
Haay allaah bataa tu kahaan so gayaa,
Teri beti kaa dushman jahaan ho gayaa,
Tin talaakon ko kisne banaayaa bataa,
Khel beti ko kisne banaayaa bataa,
Ab naa sahnaa bahut sah liyaa hai,
Maulaa jivan sajaa ho gayaa hai,
Haay jine ko ab kyaa bachaa hai.
!!! Madhusudan !!!
बहुत ही खूब।ज्वलंत मुद्दे से सजी खूबसूरत रचना।
आपने पढ़ा—पसंद आया—-साथ ही प्रोत्साहन देने के लिए बहुत बहुत धन्यवाद।
I am with you for liberating Women from all bondage 🙏
Thank you very much……..
Marmik dhang SE ek bde social issue ko point out Kia hai
Hauslaafjaayee ke liye bahut bahut dhanyawaad saath hi pasand aayaa….abhaar aapka.
🙏🙏🙏
Bahut khub 🙂
बहुत बहुत धन्यवाद…..।
I like it. very nice poem Mausha ji
Thanks
Shaandar rachna
आभार आपका…….।
☺
sir ‘ aapki kavita aasha kee kiran banegi un logo ke liye jo is samay is samsya se joojh rahe hai or ise samapt karana chahte hai.
मेरी कविता इतनी बहुमूल्य बनेगी—-हौसलाअफजाई के लिए आभार आपका।
वाह , तीन तलाक पर आपकी ये रचना बहुत पसंद आयी 😊👍👍
सुक्रिया अजय जी…….आपको पसंद आया …..बहुत बहुत धन्यवाद।
Amazing writing. Hope it will reach to the larger audience and to those who are it’s perpetrators.
Kyaa baat Abhay ji…….aapko pasand aayaa…….hausla badh gayaa. Dhanyawaad aapka
You have very well brought out the cruel system of talaq in your poem Madhusudan. Very touching indeed.
Aapne padhaa achha lagaa…..bahut bahut dhanyawaad aapka.