परिवर्तन/Pariwartan
आशियाना बदलते रहे उम्र भर,कुछ भी बदला नहीं,
हम बदलते रहे धर्म और जातियां,कुछ भी बदला नहीं ।
हम अकेला चले कारवां बन गया,
देखते-देखते ये जहाँ बन गया,
जब जुआरी थे हमको जुआरी मिला,
जब बने हम शराबी शराबी मिला,
हम जैसा थे वैसा जहां बन गया,कुछ भी बदला नहीं,
हम बदलते रहे धर्म और जातियां,कुछ भी बदला नहीं।
सज गयी हाथ में ढाल-तलवार तब,
जब रियासत मिली,
फिर सजी हाथ में ढाल-तलवार अब,
जब सियासत मिली,
कल भी इंसा मिटा आज भी मिट रहा,कुछ भी बदला नहीं,
हम बदलते रहे धर्म और जातियां,कुछ भी बदला नहीं |
!!! मधुसूदन !!!
Pariwartan
Aashiyaana badlte rahe umra bhar, kuchh bhi badla nahi,
Ham badlte rahe dharm aur jaatiyaan, kuchh bhi badla nahi.
Ham akela chale kaarwaan ban gaya,
dekhte-dekhte ye jahaan ban gaya,
jab juaari they hamko juaari milaa,
jab bane ham sharaabi sharaabi milaa,
Ham jaisa they waisa jahaan ban gayaa, kuchh bhi badla nahi,
Ham badlte rahe dharm aur jaatiyaan kuchh bhi badla nahi,
Saj gayee haath men dhaal-talwaar tab,
jab riyaasat mili,
phir saji haath men -dhaal -talwaar ab,
jab siyaasat mili,
Kal bhi Insaan mitaa aaj bhi mit rahaa, kuchh bhi badla nahi,
Ham badlte rahe dharm aur jaatiyaan, kuchh bhi badla nahi.
!!! Madhusudan !!!
well said sir
Thank you very much
bahut hi umda madhusudan ji bahut khub
Sukriya Danish ji aapne pasand kiya aur saraahaa….
Bahut badiya likha Hai Madhusudan ji👏👏
Sukriya apka hausala badhane aur pasand karne ke liye..
बहुत खूब बहुत ही अच्छा लिखा है। Quotes ka link kya hai aapka.
sukriya apne pasand kiya aur saraha……aapke kahne par yourquote par chala gaya parantu link pata nahi chal paa raha hai.